Phir Bichadkar Khudse!


Laut jata hu wapas ghr ki taraf har roz thaka hara

Aaj tak samaj na aaya

Ki kaam karne ke liye jeeta hoon yea jeene ke liye kaam krta hoon.

Bachpan mai sbka baar baar pucha gya sawal

Bade hokar kya banoge beta?

Jawaab ab mila phirse baccha banna hai !

Thak gya hu teri naukri se Ae zindgi 

Dosto se bichadkar ye hakikat khuli

Beshak kamine the par Ronak unnhi se thi…!!

Bhari jaib se duniya ki pehchaan krwai aur khali jaib se apno ki.

Jab kamane lage tab pta chali Shauk tho bas Maa Baap k paiso se hi poore hote thay apne paiso mai tho bas jaroorate hi poori ho paati hai.

Hasne ka dil na ho tho bhi hasna pdta hai

Koi jab puche kaise ho, Maze mai hu kehna pdta h..

Yeh Zindgi ka drama hai dosto yaha har ek ko natak krna pdta hai.

Machis ki zaroort yaha nahi pdti, yaha aadmi aadmi se jalta h.

Neend aur maut mai kya fark hai 

Kisine kya khoobsurat jawad diya h

Neend aadi maut hai aur maut mukammal neend.

Zindagi tho apne hi tareekey se chalti hai, Auron k sahare tho zanazey utha krte hai.

Subah hoti hai Shaam hoti hai, Umar yuhi tamam hoti hai.

Koi rokar dil behlata hai aur koi haskar dard chupata hai.

Kya karamaat hai kudrat ki Zinda insaan pani mai dubta hai aur Murda tair ke dikta hai.

Bas ye Conductor si hogyi hai zindgi Safar bhi rozka hai par jana bhi kahi nahi.

Lakeeray bhi badi ajeeb hoti hai, Maathay pe kheench jaaye tho Qismat bana deti hai

Zameen pe kheench jaaye tho Sarhadain bana deti hai.

Khal pe kheench jaaye tho khoon hi nikal jaaye.

Aur Riston mai kheench jaaye tho deewar hi bana deti hai.

Doston Duniya badi zalim hai par iss Duniya mai rehna har kisike bas ki baat nahi.

Apno ko pehchaniye aur unn laakho ki bheed mai apni pehchaan bnayiye.

Dhanyawaad!

Leave a comment